Manwa mere tuu kyun itna ghabdaata,
jab tera hai maalik bhaagyavidhaata
kyun chinta tujhe kal- parson ki,
kyun planninng hai teri barson ki,
jab antarman men tu bhee gyaata,
har kan prabhuichha se hil paata.
Kal kya hoga parson kya ye to pahle se hi tay hai,
kis or girega pasa is bar, ye bhi adi se nishchay hai
chhod de chinta, chhod ganit,
bas vishwaas tu kar adig, amit
mat lado hawa se, tair mat vipreet bahao
thahar ik pal samajh hawa ko,
upyog karo vipreet sthiti bhee, yahi sikhaye hamen hai tao
No comments:
Post a Comment